My Writings. My Thoughts.

Saifuddin Saif merii daastaan-e-hasarat

// March 14th, 2010 // 4 Comments » // Zagham

merii daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye

merii daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye
mere aazamaane vaale mujhe aazamaa ke roye

ko_ii aisaa ahal-e-dil ho ke fasaanaa-e-muhabbat
mai.n use sunaa ke rouu.N vo mujhe sunaa ke roye

merii aarazuu kii duniyaa dil-e-naatavaa.N kii hasarat
jise kho ke shaadamaa.N the use aaj paa ke roye

terii bevafaa_iyo.n par terii kaj_adaa_iyo.n par
kabhii sar jhukaa ke roye kabhii muu.Nh chhupaa ke roye

jo sunaa_ii anjuman me.n shab-e-Gam kii aap_biitii
ka_ii ro ke muskuraaye ka_ii muskuraa ke roye

Darwaaza khula rakhna by Ibn e Insha

// March 7th, 2010 // 1 Comment » // Zagham

Dil dard ki shiddat say khoon gushta-o-see parah
Iss sheher main phirta hay ek wehshi aawarah
Shayaer hay keh aashiq hay,jogi hay keh banjara

Darwaaza khula rakhna………….. …….

Seney sey ghata uthay,aankhoon sey jhari barsey
Phagan kaa nahin baadal,jo char ghari barsey
Barkha hay yeh bhadoon ki,barsey tou bari barsey

Darwaaza khula rakhna………..

Aankhoon main tou ek aalam,aankhoon main tou dunya hey
Hoonton peh magar mohrein,monh sey kuch nahin kehta hey
Kis cheez ko kho betha hey,kiya dhondney nikla hey???

Darwaaza khula rakhna………

Haan tham mohabbat ki ger tham sakay doori……
Saajan hay tera saajan,abb tujh sey tou kiya chori
Yeh jiss ki mana di hey basti main teri gori……….

Darwaaza khula rakhna………..

Shikwon ko utha rakhna,aankhoon ko bicha rakhna
Ek shamma dareechay ki chokhat peh jala rakhna
Maayus naa phir jaye,haan paas-e-wafa rakhna

Darwaaza khula rakhna……….

Javed Kodu Stage Artist

// March 7th, 2010 // 1 Comment » // Zagham

hamesha der kar deta hun main

// March 5th, 2010 // No Comments » // Zagham

hamesha der kar deta hun main

zaruri bat kahni ho
koi wada nibhana ho
use awaz deni ho
use wapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main

madad karni ho uski
yar ki dharas bandhana ho
bahut derina raston par
kisi se milne jana ho
hamesha der kar deta hun main

badalte mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho
kisi ko bhul jana ho
hamesha der kar deta hun main

kisi ko maut se pahle
kisi gam se bachna ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja k ye batana ho
hamesha der kar deta hun main